Episodes

  • Sri Ram dvara Pramukh Patroon ka parichay
    Aug 19 2020
    Bhagwaan Sri Ram, kuch pankhtiyon mein Ramayan ke nayakon ka perichaye detey hain.
    Show More Show Less
    5 mins
  • Raam Janam Utsav

    Raam Janam Utsav

    Ramayana, Episode 2
    Aug 19 2020
    Raja Dashrat kay yahan Raam Janam ka utsav harsh ullas se manaya jaa raha hai. Jahan kaikeyi Maharaj se putra kaamishti yajna main divya prasad kay asamaanya batwaare par apni aprasannta vyatk karti hain.
    Show More Show Less
    4 mins
  • Shravan ka shraap

    Shravan ka shraap

    Ramayana, Episode 3
    Aug 19 2020
    Raja Dashrath kay shabd bhedi baand galti se shravan ko lage jaate hai jissey uski mratyu ho gayi. Uskey andhe mata pita ne krodhit ho ker unhe shraap dete hai ki unki tarah putr viyog main raja Dashrath bhi tadap-tadap ker marenge.
    Show More Show Less
    3 mins
  • Maharishi Vishwamitra ka agreh
    Aug 19 2020
    Daanav maarich aur subahu, Vishvamitra kay yajna vighn daalte hai toh unka naash karne hetu Vishvamitra Dashrath se Shree Ram ko bhejne ka agreh karte hai. Raja Dashrath sun ker duvidha main aa jaate hain aur aanakani karte hain. Guru Vashist unhe samjhate hain ki Vishwamitr ko krodhit na Karen anyatha woh unhe shraap de denge. Dashrath ye sunn ker Shree Ram ko bhejne ke liye maan jaate hain per yeh shart rakhte hain ki Ram Chandra ke saath Laxman bhi jayenge.
    Show More Show Less
    5 mins
  • Ram athva Laxman ke dwara rakshason ki parajay
    Aug 19 2020
    Shri Ram, Laxman taadka rakhchasi tatha maarich ka vadh karte hain. Raaste ke ek ashram main munivar unhe stree murti ahilya ke shraap ke baare main batate aur kehte ki Shree ram he Ahilya ko shraap mukt kar sakte hain. Ahilya ke shraap mukht hone per muni unhe Janakpur ke raja Janak ki putri ke swayamwar main sheeghra chalne ke liye kehte hain.
    Show More Show Less
    4 mins
  • Mithila main sita ka swayamwar
    Aug 19 2020
    Shri Ram shiv dhanush ko utha ke sita ka swayamvar jeet lete hain aur raja Janak ki baki putriyon ka vivah Laxman, Bharat va Shatrughan se tay ho jaata hai.
    Show More Show Less
    5 mins
  • Parshuram ki chunauti

    Parshuram ki chunauti

    Ramayana, Episode 7
    Aug 19 2020
    Raja Dashrath Rani Kaushalya ko swayamwar se lautey samay shri Ram ka Shiv dhanush todne pe krodith hue Parshuram ke baare main batate hain. Ram ke baandh chadhane per Parshuram unhe gale laga ker bolte hain ki ve Vishnu ka avtaar hain. Sumant dwara Rajya Abhishek ka 3 diwas baad ka muhurath nikalne yeh ghoshadna karne ka aadesh dete hain aur maharani kakeyi ki dasi to bulwate hain.
    Show More Show Less
    4 mins
  • Manthara aur kakeyi ka vartalaap
    Aug 19 2020
    Manthara kakeyi ko shree ram ke Rajya Abhishek ki bhavya tayyariyon ke baare main batati hai. Woh unhe uksati hai ki sautela bhai Bharat ko Rajya milne per nikal dega. Woh kakeyi ko yaad dilati hai ki shambhasur se yudh karte samay jab kakeyi ne Raja Dashrath ki jaan bachayi thi toh raja ne unhe do Vardaan kabhi bhi maangne ke liye kaha tha. Ab kakeyi ko Raja se hut kar kay pehle vardaan main Sri Ram ko chaudah varsh ka vanvaas aur dusre vardaan main Bharat ka Rajya abhishek maangna chahiye.
    Show More Show Less
    5 mins